Saturday, December 29, 2012

SHRUTIKANT VEDI: DAMINI

SHRUTIKANT VEDI: DAMINI: Ae khuda use Jannat naseeb karna  Ek aur zindagi naseeb karna   Jo na mil saki khushiya is janam mein Wo agle janam mein naseeb k...

DAMINI

Monday, December 10, 2012

IN HAWAON SE KEH DO LAUT JAYEIN
MUJHE APNE HAAL PAR CHHOD JAEIN

IS DIL MEIN EK TUFAAN DABA HAI
YE UTHE AUR TERA BHRAM TOD JAEIN

Saturday, October 27, 2012

kaise kahu..?

Ae khuda usse mohabbat hai mujhe kaise kahu,
aarzoo hai par hausla nahi hai kaise kahu.

 Wo mulaqaat main bayan nahi kar sakta,
 lafj nahi hai mere paas kaise kahu.

 Aankhon mein intzaar dil main bekarari hai,
 charagon ki tarah jal raha hu main kaise kahu.

Wo mera saaya hai use hai maloom lekin,
 zindagi bhi hai wo meri kaise kahu,

Ruk jayengi saanse agar wo ruth gaya,
 meri dhadkan hai wo use kaise kahu.

Mere khayalo mein roz aati hai magar
 phir bhi sochta hu use kaise kahu.